Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

  • Ghazal


pahle to uski zat ghazal mein sameT lun


pahle to us kī zaat ġhazal meñ sameT luuñ
phir saarī kā.enāt ġhazal meñ sameT luuñ

hote haiñ rūnumā jo zamāne meñ roz-o-shab
vo saare hādsāt ġhazal meñ sameT luuñ

pahle to maiñ ġhazal meñ kahūñ apne dil kī baat
phir sab ke dil kī baat ġhazal meñ sameT luuñ

koī ḳhayāl zehn se bach kar na jā sake
saare tasavvurāt ġhazal meñ sameT luuñ

maqbūl-e-bārgāh-e-risālat hoñ mere sher
sarmāya-e-najāt ġhazal meñ sameT luuñ

'jauhar' vo baat jis kā ta.alluq ho ziist se
aisī har ek baat ġhazal meñ sameT luuñ

pahle to us ki zat ghazal mein sameT lun
phir sari kaenat ghazal mein sameT lun

hote hain runuma jo zamane mein roz-o-shab
wo sare hadsat ghazal mein sameT lun

pahle to main ghazal mein kahun apne dil ki baat
phir sab ke dil ki baat ghazal mein sameT lun

koi KHayal zehn se bach kar na ja sake
sare tasawwuraat ghazal mein sameT lun

maqbul-e-bargah-e-risalat hon mere sher
sarmaya-e-najat ghazal mein sameT lun

'jauhar' wo baat jis ka talluq ho zist se
aisi har ek baat ghazal mein sameT lun


Leave a comment

+