Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Fazli

  • Ghazal


aapko mujhse KHafa mujhse KHafa dekhta hun


aap ko mujh se ḳhafā mujh se ḳhafā dekhtā huuñ
phūTtī kyuuñ nahīñ āñkheñ mirī kyā dekhtā huuñ

roz is ruuh kī vīrāniyāñ khil uThtī haiñ
roz is dasht meñ ik ābla-pā dekhtā huuñ

gul khilāte haiñ nayā roz ye rishte-nāte
roz hī ḳhuun kā ik rañg nayā dekhtā huuñ

ek sach ye hai jo duniyā ko baratne pe khulā
ek sach vo jo kitāboñ meñ likhā dekhtā huuñ

aap haiñ sab se jo az-rāh-e-zarūrat hī mile
aur maiñ aap meñ bhī ḳhū-e-vafā dekhtā huuñ

aañkh bhar kar maiñ jise dekh na paayā thā 'nadīm'
ḳhud ko us ḳhvāb ke malbe meñ dabā dekhtā huuñ

aap ko mujh se KHafa mujh se KHafa dekhta hun
phuTti kyun nahin aankhen meri kya dekhta hun

roz is ruh ki viraniyan khil uThti hain
roz is dasht mein ek aabla-pa dekhta hun

gul khilate hain naya roz ye rishte-nate
roz hi KHun ka ek rang naya dekhta hun

ek sach ye hai jo duniya ko baratne pe khula
ek sach wo jo kitabon mein likha dekhta hun

aap hain sab se jo az-rah-e-zarurat hi mile
aur main aap mein bhi KHu-e-wafa dekhta hun

aankh bhar kar main jise dekh na paya tha 'nadim'
KHud ko us KHwab ke malbe mein daba dekhta hun


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+