Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhsh Layalpuri

  • Ghazal


koi shai dil ko bahlati nahin hai


koī shai dil ko bahlātī nahīñ hai
pareshānī kī rut jaatī nahīñ hai

hamāre ḳhvāb chorī ho ga.e haiñ
hameñ rātoñ ko niiñd aatī nahīñ hai

koī titlī kamāñ-dāroñ ke Dar se
fazā meñ pañkh phailātī nahīñ hai

har ik sūrat hameñ bhātī nahīñ hai
koī sūrat hameñ bhātī nahīñ hai

jis āzādī ke naġhme haiñ zabāñ par
vo āzādī nazar aatī nahīñ hai

badan be-harkat-o-be-his paḌe haiñ
lahū kī buuñd garmāti nahīñ hai

musalsal posh kī chābuk-zanī se
mirī āshuftagī jaatī nahīñ hai

zavāl-e-fikr-o-fan kī 'baḳhsh' tohmat
jalāl-e-harf par aatī nahīñ hai

koi shai dil ko bahlati nahin hai
pareshani ki rut jati nahin hai

hamare KHwab chori ho gae hain
hamein raaton ko nind aati nahin hai

koi titli kaman-daron ke Dar se
faza mein pankh phailati nahin hai

har ek surat hamein bhati nahin hai
koi surat hamein bhati nahin hai

jis aazadi ke naghme hain zaban par
wo aazadi nazar aati nahin hai

badan be-harkat-o-be-his paDe hain
lahu ki bund garmati nahin hai

musalsal posh ki chabuk-zani se
meri aashuftagi jati nahin hai

zawal-e-fikr-o-fan ki 'baKHsh' tohmat
jalal-e-harf par aati nahin hai


Source: Shikast-e-Qeemat-e-Dil

Leave a comment

+