Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nahid Akhtar Balooch

  • Ghazal


zulm chakkha ya be-hisi chakkhi


zulm chakkhā yā be-hisī chakkhī
kyā kabhī tum ne bebasī chakkhī

maut miltī rahī piyāla bhar
ek hī ghūñT zindagī chakkhī

chāñd jab shāḳh pe utar aayā
tab daraḳhtoñ ne chāñdnī chakkhī

rakh ke uñglī zabān par us kī
aaj thoḌī sī raushnī chakkhī

shahd kā zā.iqa to chakkhā hai
kyā kabhī aañkh sharbatī chakkhī

us kā lahja samā.atoñ meñ ghulā
jaise kānoñ ne shā.irī chakkhī

sāmne rakh ke chaa.e kī pyālī
chuskī chuskī tirī kamī chakkhī

aaj āñkhoñ ne us ko dekhā thā
aaj palkoñ ne phir namī chakkhī

chuum kar ik gulāb kā chehra
titliyoñ ne bhī dilkashī chakkhī

zulm chakkha ya be-hisi chakkhi
kya kabhi tum ne bebasi chakkhi

maut milti rahi piyala bhar
ek hi ghunT zindagi chakkhi

chand jab shaKH pe utar aaya
tab daraKHton ne chandni chakkhi

rakh ke ungli zaban par us ki
aaj thoDi si raushni chakkhi

shahd ka zaiqa to chakkha hai
kya kabhi aankh sharbati chakkhi

us ka lahja samaaton mein ghula
jaise kanon ne shairi chakkhi

samne rakh ke chae ki pyali
chuski chuski teri kami chakkhi

aaj aankhon ne us ko dekha tha
aaj palkon ne phir nami chakkhi

chum kar ek gulab ka chehra
titliyon ne bhi dilkashi chakkhi


Leave a comment

+