Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Babar Rahman Shah

  • Ghazal


man lo sahibo kaha mera


maan lo sāhibo kahā merā
kyuuñ ki ibrat hai naqsh-e-pā merā

hai tamannā meñ ġhārat o rusvā
sher merā, kitābcha merā

ai parī-zād tere jaane par
ho gayā ḳhud se rābta merā

jañgaloñ se mujhe ye nisbat hai
in meñ rahtā thā āshnā merā

aam sā aadmī huuñ maiñ sāhib
sher hotā hai aam sā merā

man lo sahibo kaha mera
kyun ki ibrat hai naqsh-e-pa mera

hai tamanna mein ghaarat o ruswa
sher mera, kitabcha mera

ai pari-zad tere jaane par
ho gaya KHud se rabta mera

jangalon se mujhe ye nisbat hai
in mein rahta tha aashna mera

aam sa aadmi hun main sahib
sher hota hai aam sa mera


Leave a comment

+