Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqi Ahmad Puri

  • Ghazal


bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin


bahut jaldī thī ghar jaane kī lekin
mujhe phir shaam raste meñ paḌī hai

nisāb-e-zindagī jis meñ likhā hai
kitāb-e-dil vo baste meñ paḌī hai

nahīñ arzāñ matā-e-rā.egānī
magar mujh ko ye saste meñ paḌī hai

vo aise DhūñDne nikle haiñ 'bāqī'
mohabbat jaise raste meñ paḌī hai

bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin
mujhe phir sham raste mein paDi hai

nisab-e-zindagi jis mein likha hai
kitab-e-dil wo baste mein paDi hai

nahin arzan mata-e-raegani
magar mujh ko ye saste mein paDi hai

wo aise DhunDne nikle hain 'baqi'
mohabbat jaise raste mein paDi hai


Source: Book : Noquush (Pg. B-421 E431) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954

Leave a comment

+