Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


zindagi ye to nahin tujhko sanwara hi na ho


zindagī ye to nahīñ tujh ko sañvārā hī na ho
kuchh na kuchh ham ne tirā qarz utārā hī na ho

dil ko chhū jaatī hai yuuñ raat kī āvāz kabhī
chauñk uThtā huuñ kahīñ tū ne pukārā hī na ho

kabhī palkoñ pe chamaktī hai jo ashkoñ kī lakīr
sochtā huuñ tire āñchal kā kinārā hī na ho

zindagī ek ḳhalish de ke na rah jā mujh ko
dard vo de jo kisī tarah gavārā hī na ho

sharm aatī hai ki us shahr meñ ham haiñ ki jahāñ
na mile bhiik to lākhoñ kā guzārā hī na ho

zindagi ye to nahin tujh ko sanwara hi na ho
kuchh na kuchh hum ne tera qarz utara hi na ho

dil ko chhu jati hai yun raat ki aawaz kabhi
chaunk uThta hun kahin tu ne pukara hi na ho

kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakir
sochta hun tere aanchal ka kinara hi na ho

zindagi ek KHalish de ke na rah ja mujh ko
dard wo de jo kisi tarah gawara hi na ho

sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan
na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Jaan Nisar Akhtar

Source: Sawad-e-sham

Leave a comment

+