Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah wali

  • Ghazal


kya kahun ki kya hun main


kyā kahūñ ki kyā huuñ maiñ
sañg-e-be-sadā huuñ maiñ

dard-e-lā-davā huuñ maiñ
āh-e-nā-rasā huuñ maiñ

dard kī davā huuñ meñ
pyaar kī sadā huuñ meñ

jis kī ibtidā ho tum
us kī intihā huuñ meñ

ḳhud hī rāh-rau bhī huuñ
ḳhud hī rahnumā huuñ maiñ

sochnā fuzūl hai
phir bhī sochtā huuñ maiñ

in pe hai nazar merī
ḳhud ko dekhtā huuñ maiñ

jaane kyā huā mujhe
ḳhud se bhī ḳhafā huuñ maiñ

aao ai 'valī' dekho
kaisā ā.īna huuñ maiñ

kya kahun ki kya hun main
sang-e-be-sada hun main

dard-e-la-dawa hun main
aah-e-na-rasa hun main

dard ki dawa hun mein
pyar ki sada hun mein

jis ki ibtida ho tum
us ki intiha hun mein

KHud hi rah-rau bhi hun
KHud hi rahnuma hun main

sochna fuzul hai
phir bhi sochta hun main

in pe hai nazar meri
KHud ko dekhta hun main

jaane kya hua mujhe
KHud se bhi KHafa hun main

aao ai 'wali' dekho
kaisa aaina hun main


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 386) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+