Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kashif Husain Ghair

  • Ghazal


wo raat ja chuki wo sitara bhi ja chuka


vo raat jā chukī vo sitāra bhī jā chukā
aayā nahīñ jo din vo guzāra bhī jā chukā

is paar ham khaḌe haiñ abhī tak aur us taraf
lahroñ ke saath saath kināra bhī jā chukā

dukh hai malāl hai vahī pahlā sā haal hai
jaane ko us galī meñ dobāra bhī jā chukā

kyā jaane kis ḳhayāl meñ umr-e-ravāñ ga.ī
hāthoñ se zindagī ke ḳhasāra bhī jā chukā

'kāshif'-husain chhoḌiye ab zindagī kā khel
jiitā bhī jā chukā ise haarā bhī jā chukā

wo raat ja chuki wo sitara bhi ja chuka
aaya nahin jo din wo guzara bhi ja chuka

is par hum khaDe hain abhi tak aur us taraf
lahron ke sath sath kinara bhi ja chuka

dukh hai malal hai wahi pahla sa haal hai
jaane ko us gali mein dobara bhi ja chuka

kya jaane kis KHayal mein umr-e-rawan gai
hathon se zindagi ke KHasara bhi ja chuka

'kashif'-husain chhoDiye ab zindagi ka khel
jita bhi ja chuka ise haara bhi ja chuka


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+