māhtāb-e-vajūd paḌhte haiñ
aa kitāb-e-vajūd paḌhte haiñ
dhuup rañgoñ meñ Dhaal dete haiñ
āftāb-e-vajūd paḌhte haiñ
terī ḳhushbū ko saañs karte haiñ
phir gulāb-e-vajūd paḌhte haiñ
ik mahak jo badan jalātī hai
us kā bāb-e-vajūd paḌhte haiñ
kitnī bojhal guzartī haiñ shāmeñ
terā ḳhvāb-e-vajūd paḌhte haiñ
terī hairānī jaan leñ pahle
phir sarāb-e-vajūd paḌhte haiñ
koī andar kī baat karte haiñ
iztirāb-e-vajūd paḌhte haiñ
mahtab-e-wajud paDhte hain
aa kitab-e-wajud paDhte hain
dhup rangon mein Dhaal dete hain
aaftab-e-wajud paDhte hain
teri KHushbu ko sans karte hain
phir gulab-e-wajud paDhte hain
ek mahak jo badan jalati hai
us ka bab-e-wajud paDhte hain
kitni bojhal guzarti hain shamen
tera KHwab-e-wajud paDhte hain
teri hairani jaan len pahle
phir sarab-e-wajud paDhte hain
koi andar ki baat karte hain
iztirab-e-wajud paDhte hain
Leave a comment