Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aazam Khursheed

  • Ghazal


tere honTon pe nazar baqi hai


tere hoñToñ pe nazar baaqī hai
kis ke hone kī ḳhabar baaqī hai

kitne ḳhush-rañg badan dhuul hue
vaqt kī chaal magar baaqī hai

aaj bhī ġham kī salāmī ke liye
dil kā ābād nagar baaqī hai

shab kī qindīl uThāne vaale
dekh chehroñ pe sahar baaqī hai

dard kā chehra thā barbād huā
dasht meñ sūkhā shajar baaqī hai

ḳhuuñ javāñ ḳhuun se holī khelo
chand qadmoñ kā safar baaqī hai

tere honTon pe nazar baqi hai
kis ke hone ki KHabar baqi hai

kitne KHush-rang badan dhul hue
waqt ki chaal magar baqi hai

aaj bhi gham ki salami ke liye
dil ka aabaad nagar baqi hai

shab ki qindil uThane wale
dekh chehron pe sahar baqi hai

dard ka chehra tha barbaad hua
dasht mein sukha shajar baqi hai

KHun jawan KHun se holi khelo
chand qadmon ka safar baqi hai


Leave a comment

+