Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jagdeesh Parkash

  • Ghazal


meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam


mirī zindagī hai sarāb sī kabhī maujzan kabhī tishna-dam
kabhī intizār kī dhuup sī kabhī qurbatoñ kā koī bharam

tirī chāhatoñ kā ye silsila kisī dhuup chhāñv ke khel sā
kabhī puus maagh kī dhuup sā kabhī naġhma-ḳhvāñ kabhī chashm-e-nam

mujhe chhū ke vaqt guzar gayā zarā ruk ke umr nikal ga.ī
jo rahā to paas yahī rahā kabhī apnā dukh kabhī sab kā ġham

kabhī rāstoñ ke ġhubār meñ kabhī manziloñ ke ḳhumār meñ
kabhī justujū-e-bahār meñ rahe hādsoñ se bañdhe qadam

tirā naam sun ke chalī pavan tirā zikr sun ke khilā chaman
ki mirī savāneh-e-zīst par tirā naam likh ke rukā qalam

ye zarā zarā sī shikāyateñ kahīñ ban na jaa.eñ hikāyateñ
yahī pūchhte ki huā hai kyā kabhī ham se tum kabhī tum se ham

kabhī qurbatoñ kā sukūñ milā kabhī furqatoñ kā junūñ milā
kabhī kho ga.e sabhī rāste kabhī manziloñ se mile qadam

meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam
kabhi intizar ki dhup si kabhi qurbaton ka koi bharam

teri chahaton ka ye silsila kisi dhup chhanw ke khel sa
kabhi pus magh ki dhup sa kabhi naghma-KHwan kabhi chashm-e-nam

mujhe chhu ke waqt guzar gaya zara ruk ke umr nikal gai
jo raha to pas yahi raha kabhi apna dukh kabhi sab ka gham

kabhi raston ke ghubar mein kabhi manzilon ke KHumar mein
kabhi justuju-e-bahaar mein rahe hadson se bandhe qadam

tera nam sun ke chali pawan tera zikr sun ke khila chaman
ki meri sawaneh-e-zist par tera nam likh ke ruka qalam

ye zara zara si shikayaten kahin ban na jaen hikayaten
yahi puchhte ki hua hai kya kabhi hum se tum kabhi tum se hum

kabhi qurbaton ka sukun mila kabhi furqaton ka junun mila
kabhi kho gae sabhi raste kabhi manzilon se mile qadam


Leave a comment

+