ishq hī ishq ho āshiq ho na ma.ashūq jahāñ
aisī ik dargah-e-tauhīd-ma.āb aur bhī hai
hosh se kaaT ye din zinda-dilī se rakh kaam
sheb ke ba.ad mirī jān-e-shabāb aur bhī hai
yaar mai-ḳhāne agar kar ga.e ḳhālī ġham kyā
ab bhī abr aatā hai aur ḳhum meñ sharāb aur bhī hai
ghar kiyā 'ġhālib'-o-'momin' ne jahāñ āñkhoñ meñ
isī bastī meñ koī ḳhāna-ḳharāb aur bhī hai
ishq hi ishq ho aashiq ho na mashuq jahan
aisi ek dargah-e-tauhid-maab aur bhi hai
hosh se kaT ye din zinda-dili se rakh kaam
sheb ke baad meri jaan-e-shabab aur bhi hai
yar mai-KHane agar kar gae KHali gham kya
ab bhi abr aata hai aur KHum mein sharab aur bhi hai
ghar kiya 'ghaalib'-o-'momin' ne jahan aankhon mein
isi basti mein koi KHana-KHarab aur bhi hai
Leave a comment