Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin


vo bichhaḌ kar niDhāl thā hī nahīñ
ya.anī us ko malāl thā hī nahīñ

vo to paañv hī paḌ gayā thā mire
jis safar meñ malāl thā hī nahīñ

merī tasdīq kyā bhalā kartā?
vo kabhī merī Dhaal thā hī nahīñ

surma.ī hijr ko harā kartā
us meñ aisā kamāl thā hī nahīñ

aur phir dil ne us ko chhoḌ diyā
jab ta.alluq bahāl thā hī nahīñ

chāñd phir ham-safar banā merā
mere aage zavāl thā hī nahīñ

wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin
yani us ko malal tha hi nahin

wo to panw hi paD gaya tha mere
jis safar mein malal tha hi nahin

meri tasdiq kya bhala karta?
wo kabhi meri Dhaal tha hi nahin

surmai hijr ko hara karta
us mein aisa kamal tha hi nahin

aur phir dil ne us ko chhoD diya
jab talluq bahaal tha hi nahin

chand phir ham-safar bana mera
mere aage zawal tha hi nahin


Leave a comment

+