Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Azmi

  • Ghazal


kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain


kyā jaane kis kī pyaas bujhāne kidhar ga.iiñ
is sar pe jhuum ke jo ghaTā.eñ guzar ga.iiñ

dīvāna pūchhtā hai ye lahroñ se baar baar
kuchh bastiyāñ yahāñ thiiñ batāo kidhar ga.iiñ

ab jis taraf se chāhe guzar jaa.e kārvāñ
vīrāniyāñ to sab mire dil meñ utar ga.iiñ

paimāna TūTne kā koī ġham nahīñ mujhe
ġham hai to ye ki chāñdnī rāteñ bikhar ga.iiñ

paayā bhī un ko kho bhī diyā chup bhī ho rahe
ik muḳhtasar sī raat meñ sadiyāñ guzar ga.iiñ

kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain
is sar pe jhum ke jo ghaTaen guzar gain

diwana puchhta hai ye lahron se bar bar
kuchh bastiyan yahan thin batao kidhar gain

ab jis taraf se chahe guzar jae karwan
viraniyan to sab mere dil mein utar gain

paimana TuTne ka koi gham nahin mujhe
gham hai to ye ki chandni raaten bikhar gain

paya bhi un ko kho bhi diya chup bhi ho rahe
ek muKHtasar si raat mein sadiyan guzar gain

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Alka Yagnik RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain Nomaan Shauque

Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+