Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


Khaali aashiq se kabhi kucha-e-jaanan na raha


ḳhālī āshiq se kabhī kūcha-e-jānāñ na rahā
kaun sī shab vo thī jis meñ koī giryāñ na rahā

dekhiye nāḳhun-e-vahshat ke sabab āshiq kā
tār-e-dāmāñ na rahā tār-e-garebāñ na rahā

shaiḳh kyā va.az sunātā hai dikhāne ke liye
dil meñ tasvīr-e-sanam hai tirā īmāñ na rahā

ho gayā saath dil-e-zār ke vo bhī ruḳhsat
māya-e-zīst jo apnā thā vo armāñ na rahā

ham-safīro na kaho naġhma-zanī ko mujh se
ab chalī bād-e-ḳhizāñ aur gul-e-ḳhandāñ na rahā

ruḳh dikhāte hī kiyā mahv-e-tamāshā tū ne
kab tirā shefta ā.īna sā hairāñ na rahā

ashk-e-dīda to hue ḳhushk 'jamīla' kah do
ḳhizr tum aa.e to kyā chashma-e-haivāñ na rahā

KHali aashiq se kabhi kucha-e-jaanan na raha
kaun si shab wo thi jis mein koi giryan na raha

dekhiye naKHun-e-wahshat ke sabab aashiq ka
tar-e-daman na raha tar-e-gareban na raha

shaiKH kya waz sunata hai dikhane ke liye
dil mein taswir-e-sanam hai tera iman na raha

ho gaya sath dil-e-zar ke wo bhi ruKHsat
maya-e-zist jo apna tha wo arman na raha

ham-safiro na kaho naghma-zani ko mujh se
ab chali baad-e-KHizan aur gul-e-KHandan na raha

ruKH dikhate hi kiya mahw-e-tamasha tu ne
kab tera shefta aaina sa hairan na raha

ashk-e-dida to hue KHushk 'jamila' kah do
KHizr tum aae to kya chashma-e-haiwan na raha


Source: Book : Harf Harf Khowab (Pg. 53) Author : asi ramnagari Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992) Edition : 1992

Leave a comment

+