Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


humne zahir kiya suKHan mein bahut


ham ne zāhir kiyā suḳhan meñ bahut
shor baaqī hai kyuuñ badan meñ bahut

kaun aayā hai is ḳharābe meñ
raushnī hai kahīñ badan meñ bahut

koī āvāz kyuuñ nahīñ aatī
hū kā aalam hai kyuuñ badan meñ bahut

phaḌphaḌāne kī aa rahī hai sadā
kaun bechain hai badan meñ bahut

hai zamīñ se zamīn tak parvāz
ḳhaak uThtī hai pairahan meñ bahut

rañg-o-bū hī nahīñ faqat ābād
ḳhuun apnā bhī hai chaman meñ bahut

maslahat hai ki buzdilī 'hamdam'
ḳhāmushī aa ga.ī suḳhan meñ bahut

hum ne zahir kiya suKHan mein bahut
shor baqi hai kyun badan mein bahut

kaun aaya hai is KHarabe mein
raushni hai kahin badan mein bahut

koi aawaz kyun nahin aati
hu ka aalam hai kyun badan mein bahut

phaDphaDane ki aa rahi hai sada
kaun bechain hai badan mein bahut

hai zamin se zamin tak parwaz
KHak uThti hai pairahan mein bahut

rang-o-bu hi nahin faqat aabaad
KHun apna bhi hai chaman mein bahut

maslahat hai ki buzdili 'hamdam'
KHamushi aa gai suKHan mein bahut


Source: Book : Harf Harf Khowab (Pg. 94) Author : asi ramnagari Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992) Edition : 1992

Leave a comment

+