Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


aks bhi arsa-e-hairan mein rakkha hua hai


aks bhī arsa-e-hairān meñ rakkhā huā hai
kaun ye ā.īna-rū dhyān meñ rakkhā huā hai

shaam kī shaam se sargoshī sunī thī ik baar
bas tabhī se tujhe imkān meñ rakkhā huā hai

haañ tire zikr pe ik, kaaT sī uThtī hai abhī
haañ abhī dil tire bohrān meñ rakkhā huā hai

ek hī aag meñ jalnā to zarūrī bhī nahīñ
haañ magar chehra vahī dhyān meñ rakkhā huā hai

rābte us se sabhī toḌ ke yaad aayā hai
āḳhirī va.ada to sāmān meñ rakkhā huā hai

raas aatā hī nahīñ koī ta.alluq 'nāhīd'
dil-e-ḳhush-fahm magar maan meñ rakkhā huā hai

aks bhi arsa-e-hairan mein rakkha hua hai
kaun ye aaina-ru dhyan mein rakkha hua hai

sham ki sham se sargoshi suni thi ek bar
bas tabhi se tujhe imkan mein rakkha hua hai

han tere zikr pe ik, kaT si uThti hai abhi
han abhi dil tere bohran mein rakkha hua hai

ek hi aag mein jalna to zaruri bhi nahin
han magar chehra wahi dhyan mein rakkha hua hai

rabte us se sabhi toD ke yaad aaya hai
aaKHiri wada to saman mein rakkha hua hai

ras aata hi nahin koi talluq 'nahid'
dil-e-KHush-fahm magar man mein rakkha hua hai


Leave a comment

+