pā-ba-zanjīr sahī zamzama-ḳhvāñ haiñ ham log
mahfil-e-vaqt tirī rūh-e-ravāñ haiñ ham log
dosh par bār-e-shab-e-ġham liye gul kī mānind
kaun samjhe ki mohabbat kī zabāñ haiñ ham log
ḳhuub paayā hai sila terī parastārī kā
dekh ai sub.h-e-tarab aaj kahāñ haiñ ham log
ik matā-e-dil-o-jāñ paas thī so haar chuke
haa.e ye vaqt ki ab ḳhud pe garāñ haiñ ham log
nik.hat-e-gul kī tarah naaz se chalne vaalo
ham bhī kahte the ki āsūda-e-jāñ haiñ ham log
koī batlā.e ki kaise ye ḳhabar aam kareñ
DhūñDtī hai jise duniyā vo nishāñ haiñ ham log
qismat-e-shab-zadagāñ jaag hī jā.egī 'alīm'
jaras-e-qāfila-e-ḳhush-ḳhabrāñ haiñ ham log
pa-ba-zanjir sahi zamzama-KHwan hain hum log
mahfil-e-waqt teri ruh-e-rawan hain hum log
dosh par bar-e-shab-e-gham liye gul ki manind
kaun samjhe ki mohabbat ki zaban hain hum log
KHub paya hai sila teri parastari ka
dekh ai subh-e-tarab aaj kahan hain hum log
ek mata-e-dil-o-jaan pas thi so haar chuke
hae ye waqt ki ab KHud pe garan hain hum log
nikhat-e-gul ki tarah naz se chalne walo
hum bhi kahte the ki aasuda-e-jaan hain hum log
koi batlae ki kaise ye KHabar aam karen
DhunDti hai jise duniya wo nishan hain hum log
qismat-e-shab-zadagan jag hi jaegi 'alim'
jaras-e-qafila-e-KHush-KHabran hain hum log
Source: Book : chera chera mery kahani (Pg. 53)
Leave a comment