Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Shirazi

  • Ghazal


jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main


jaan aise ḳhvāboñ se kis tarah chhuḌā.ūñ maiñ
shahr so gayā saarā ab kise jagā.ūñ maiñ

pā.emāl sabze par dekh kar gire patte
ab zamīn se ḳhud ko kis tarah uThā.ūñ maiñ

in akelī rātoñ meñ in akele rastoñ par
kis ke saath aa.uuñ maiñ kis ke saath jā.ūñ maiñ

ek hī sī tanhā.ī ek hī sā sannāTā
dasht kyā hai dil kyā hai kyā tujhe batā.ūñ maiñ

dekh kaise din aa.e dekh maiñ na kahtā thā
tū qarīb bhī aa.e aur tujhe bulā.ūñ maiñ

aaj sab meñ ghul-mil jā.ūñ mujh ko kyā ḳhabar kal tak
kis ko yaad aa.uuñ maiñ kis ko bhuul jā.ūñ maiñ

kitne kaam duniyā ne de diye mujhe 'ja.afar'
ashk-e-ġham girā.ūñ maiñ bār-e-ġham uThā.ūñ maiñ

jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main
shahr so gaya sara ab kise jagaun main

paemal sabze par dekh kar gire patte
ab zamin se KHud ko kis tarah uThaun main

in akeli raaton mein in akele raston par
kis ke sath aaun main kis ke sath jaun main

ek hi si tanhai ek hi sa sannaTa
dasht kya hai dil kya hai kya tujhe bataun main

dekh kaise din aae dekh main na kahta tha
tu qarib bhi aae aur tujhe bulaun main

aaj sab mein ghul-mil jaun mujh ko kya KHabar kal tak
kis ko yaad aaun main kis ko bhul jaun main

kitne kaam duniya ne de diye mujhe 'jafar'
ashk-e-gham giraun main bar-e-gham uThaun main


Source: Book : Aiwan (Pg. 89) Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem Publication : Nirali Duniya (1998) Edition : 1998

Leave a comment

+