Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Bhopali

  • Ghazal


jis pe teri shamshir nahin hai


jis pe tirī shamshīr nahīñ hai
us kī koī tauqīr nahīñ hai

us ne ye kah kar pher diyā ḳhat
ḳhuun se kyuuñ tahrīr nahīñ hai

zaḳhm-e-jigar meñ jhāñk ke dekho
kyā ye tumhārā tiir nahīñ hai

zaḳhm lage haiñ khulne gulchīñ
ye to tirī jāgīr nahīñ hai

shahr meñ yaum-e-aman hai vaa.iz
aaj tirī taqrīr nahīñ hai

uudī ghaTā to vāpas ho jā
aaj koī tadbīr nahīñ hai

shahr mohabbat kā yuuñ ujḌā
duur talak tāmīr nahīñ hai

itnī hayā kyuuñ ā.īne se
ye to mirī tasvīr nahīñ hai

jis pe teri shamshir nahin hai
us ki koi tauqir nahin hai

us ne ye kah kar pher diya KHat
KHun se kyun tahrir nahin hai

zaKHm-e-jigar mein jhank ke dekho
kya ye tumhaara tir nahin hai

zaKHm lage hain khulne gulchin
ye to teri jagir nahin hai

shahr mein yaum-e-aman hai waiz
aaj teri taqrir nahin hai

udi ghaTa to wapas ho ja
aaj koi tadbir nahin hai

shahr mohabbat ka yun ujDa
dur talak tamir nahin hai

itni haya kyun aaine se
ye to meri taswir nahin hai


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+