Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


koi wazifa mujhe bhi bata mere darwesh


koī vazīfa mujhe bhī batā mire darvesh
tujhe huī hai faqīrī atā mire darvesh

mirī ḳhatā to bas itnī hai is ta.alluq meñ
yahī ki honī ko hone diyā mire darvesh

ise maiñ pyaar mohabbat kā naam kaise duuñ
ye aur tarah kā hai tajraba mire darvesh

ki jis ne bāñdh diyā terī zaat se mujh ko
ye ruuh kā hai koī silsila mire darvesh

har ek saañs juḌī hai tirī razā ke saath
to kyā yahī hai mukammal vafā mire darvesh

tū zindagī kā sitāra bhī isti.āra bhī
mire liye tū hai sūraj-numā mere darvesh

ye terā ishq mahaktā hai raat din mujh meñ
ki aur kuchh nahīñ mujh meñ nayā mire darvesh

ki ab vajūd se maujūd se nahīñ hai ġharaz
hai lā-vajūd kī mujh meñ sadā mire darvesh

koi wazifa mujhe bhi bata mere darwesh
tujhe hui hai faqiri ata mere darwesh

meri KHata to bas itni hai is talluq mein
yahi ki honi ko hone diya mere darwesh

ise main pyar mohabbat ka nam kaise dun
ye aur tarah ka hai tajraba mere darwesh

ki jis ne bandh diya teri zat se mujh ko
ye ruh ka hai koi silsila mere darwesh

har ek sans juDi hai teri raza ke sath
to kya yahi hai mukammal wafa mere darwesh

tu zindagi ka sitara bhi istiara bhi
mere liye tu hai suraj-numa mere darwesh

ye tera ishq mahakta hai raat din mujh mein
ki aur kuchh nahin mujh mein naya mere darwesh

ki ab wajud se maujud se nahin hai gharaz
hai la-wajud ki mujh mein sada mere darwesh


Leave a comment

+