Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pallavi Mishra

  • Ghazal


nafrat ki aag jalne lagi tere shahr mein


nafrat kī aag jalne lagī tere shahr meñ
ye baat aaj khalne lagī tere shahr meñ

jo āshnā the kal mire sab gum kahāñ hue
hijrat kī chaah palne lagī tere shahr meñ

marne kā mārne kā ye kyā daur aa gayā
jiine kī aas Talne lagī tere shahr meñ

merā yahāñ se Thor-Thikāna ujaḌ gayā
āñdhī ajiib chalne lagī tere shahr meñ

har dil meñ kaun bharne lagā dushmanī yahāñ
shafqat bhī haath malne lagī tere shahr meñ

qudrat ḳhafā huī na kahīñ laa.e zalzala
karvaT zamīñ badalne lagī tere shahr meñ

kaalī ghaTā kī qaid meñ vo kab talak rahe
ab chāñdnī machalne lagī tere shahr meñ

nafrat ki aag jalne lagi tere shahr mein
ye baat aaj khalne lagi tere shahr mein

jo aashna the kal mere sab gum kahan hue
hijrat ki chah palne lagi tere shahr mein

marne ka marne ka ye kya daur aa gaya
jine ki aas Talne lagi tere shahr mein

mera yahan se Thor-Thikana ujaD gaya
aandhi ajib chalne lagi tere shahr mein

har dil mein kaun bharne laga dushmani yahan
shafqat bhi hath malne lagi tere shahr mein

qudrat KHafa hui na kahin lae zalzala
karwaT zamin badalne lagi tere shahr mein

kali ghaTa ki qaid mein wo kab talak rahe
ab chandni machalne lagi tere shahr mein


Leave a comment

+