Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi uldani

  • Ghazal


qaid se pahle bhi aazadi meri KHatre mein thi


qaid se pahle bhī āzādī mirī ḳhatre meñ thī
āshiyāna hī mirā sūrat-numā-e-dām thā

vāhima ḳhallāq āzādī kā husn-afzā surūr
har fareb-rañg kā pahle gulistāñ naam thā

zo.af aahoñ par bhī ġhālib ho chalā thā ai ajal
tū na aatī to ye merā āḳhirī paiġhām thā

dīda-e-ḳhūñ
be-ḳhudī ke haath se chhūTā huā ik jaam thā

qaid se pahle bhi aazadi meri KHatre mein thi
aashiyana hi mera surat-numa-e-dam tha

wahima KHallaq aazadi ka husn-afza surur
har fareb-rang ka pahle gulistan nam tha

zoaf aahon par bhi ghaalib ho chala tha ai ajal
tu na aati to ye mera aaKHiri paigham tha

dida-e-KHun
be-KHudi ke hath se chhuTa hua ek jam tha


Leave a comment

+