Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tajvar Najibabadi

  • Ghazal


mohabbat mein ziyan-kari murad-e-dil na ban jae


mohabbat meñ ziyāñ-kārī murād-e-dil na ban jaa.e
ye lā-hāsil hī umr-e-ishq kā hāsil na ban jaa.e

mujhī par paḌ rahī hai saarī mahfil meñ nazar un kī
ye dildārī hisāb-e-dostāñ dar-dil na ban jaa.e

karūñgā umr bhar tai rāh-e-be-manzil mohabbat kī
agar vo āstāñ is raah kī manzil na ban jaa.e

tire anvār se hai nabz-e-hastī meñ taḌap paidā
kahīñ saarā nizām-e-kā.enāt ik dil na ban jaa.e

kahīñ rusvā na ho ab shān-e-istiġhnā mohabbat kī
mirī hālat tumhāre rahm ke qābil na ban jaa.e

mohabbat mein ziyan-kari murad-e-dil na ban jae
ye la-hasil hi umr-e-ishq ka hasil na ban jae

mujhi par paD rahi hai sari mahfil mein nazar un ki
ye dildari hisab-e-dostan dar-dil na ban jae

karunga umr bhar tai rah-e-be-manzil mohabbat ki
agar wo aastan is rah ki manzil na ban jae

tere anwar se hai nabz-e-hasti mein taDap paida
kahin sara nizam-e-kaenat ek dil na ban jae

kahin ruswa na ho ab shan-e-istighna mohabbat ki
meri haalat tumhaare rahm ke qabil na ban jae


Leave a comment

+