bāġhī hudūd se bahut aage nikal ga.e
sūraj chhuā na thā ki mire haath jal ga.e
ye hairatoñ ke beach meñ hairat-zada nuqūsh
kaise tamāshbīn the patthar meñ Dhal ga.e
jazbāt meñ kuchh is tarah us kā badan thā surḳh
zanjīr āhanī ke kaḌe hī pighal ga.e
baguloñ se un ke ruup bhagat ban ke aa.e kuchh
makkhī ko yaar chhoḌ ke hāthī nigal ga.e
Tiile se qahqahoñ kī phuvāroñ meñ the 'ġhanī'
tiir ek aañkh vaale achānak uchhal ga.e
baghi hudud se bahut aage nikal gae
suraj chhua na tha ki mere hath jal gae
ye hairaton ke beach mein hairat-zada nuqush
kaise tamashbin the patthar mein Dhal gae
jazbaat mein kuchh is tarah us ka badan tha surKH
zanjir aahani ke kaDe hi pighal gae
bagulon se un ke rup bhagat ban ke aae kuchh
makkhi ko yar chhoD ke hathi nigal gae
Tile se qahqahon ki phuwaron mein the 'ghani'
tir ek aankh wale achanak uchhal gae
Leave a comment