Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


gai ruton ki rafaqaton mein tumhein milungi


ga.ī rutoñ kī rafāqatoñ meñ tumheñ milūñgī
maiñ chāhatoñ kī riyāzatoñ meñ tumheñ milūñgī

tum apnī manzil ke rāstoñ meñ jo dekh paao
to rāstoñ kī sa.ūbatoñ meñ tumheñ milūñgī

nahīñ milūñgī kisī bhī vasl-āshnā safar meñ
maiñ hijr-mausam kī shiddatoñ meñ tumheñ milūñgī

ki maiñ ne chāhat ko bhī aqīda banā liyā hai
agar milī to aqīdatoñ meñ tumheñ milūñgī

maiñ jāntī huuñ ki tere idrāk meñ nahīñ huuñ
magar vafā kī shabāhatoñ meñ tumheñ milūñgī

ho qaid tum apnī zaat ke ḳhol meñ agarche
bas ek ḳhushbū huuñ dastakoñ meñ tumheñ milūñgī

vo bint-e-havvā ko go nazar se girā rahe haiñ
magar vo kahtī hai rif.atoñ meñ tumheñ milūñgī

nahīñ hai 'shāhīn' ḳhvāb par e'tibār mujh ko
so zindagī kī haqīqatoñ meñ tumheñ milūñgī

gai ruton ki rafaqaton mein tumhein milungi
main chahaton ki riyazaton mein tumhein milungi

tum apni manzil ke raston mein jo dekh pao
to raston ki saubaton mein tumhein milungi

nahin milungi kisi bhi wasl-ashna safar mein
main hijr-mausam ki shiddaton mein tumhein milungi

ki main ne chahat ko bhi aqida bana liya hai
agar mili to aqidaton mein tumhein milungi

main jaanti hun ki tere idrak mein nahin hun
magar wafa ki shabahaton mein tumhein milungi

ho qaid tum apni zat ke KHol mein agarche
bas ek KHushbu hun dastakon mein tumhein milungi

wo bint-e-hawwa ko go nazar se gira rahe hain
magar wo kahti hai rifaton mein tumhein milungi

nahin hai 'shahin' KHwab par e'tibar mujh ko
so zindagi ki haqiqaton mein tumhein milungi

RECITATIONS Najma Shaheen Khosa



00:00/00:00 gai ruton ki rafaqaton mein tumhein milungi Najma Shaheen Khosa

Leave a comment

+