Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Gullani

  • Ghazal


wasl ne jab meri taKHliq ko zanjir kya


vasl ne jab mirī taḳhlīq ko zanjīr kyā
hijr kahne lagā maiñ saath huuñ tū likhtā jā

tujh se maiñ jañg kā elaan bhī kar hī dūñgā
mere dushman tū mire qad ke barābar to aa

mujh se nādāñ kī kitābeñ na samajh paa.e haiñ
tū samajhtā hai ye samjheñge sahīfe ai ḳhudā

Duub kar dard ke dariyā meñ ai mere hamdam
tujh ko kaise maiñ batā.ūñ ki maiñ ne kyā paayā

ashk bāhar to ravāñ aañkh se hotā hai nadīm
sochtā huuñ ki ye andar maiñ kahāñ se aayā

wasl ne jab meri taKHliq ko zanjir kya
hijr kahne laga main sath hun tu likhta ja

tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga
mere dushman tu mere qad ke barabar to aa

mujh se nadan ki kitaben na samajh pae hain
tu samajhta hai ye samjhenge sahife ai KHuda

Dub kar dard ke dariya mein ai mere hamdam
tujh ko kaise main bataun ki main ne kya paya

ashk bahar to rawan aankh se hota hai nadim
sochta hun ki ye andar main kahan se aaya


Leave a comment

+