Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmi Badayuni

  • Ghazal


ek mehman ka hijr tari hai


ek mehmāñ kā hijr taarī hai
mezbānī kī mashq jaarī hai

sirf halkī sī be-qarārī hai
aaj kī raat dil pe bhārī hai

koī panchhī koī shikārī hai
zinda rahne kī jañg jaarī hai

bas tire ġham kī ġham-gusārī hai
aur kyā shā.erī hamārī hai

aap karte haiñ shabnamī bāteñ
aur mirī pyaas reg-zārī hai

ab kahāñ dasht meñ junūñ vaale
jis ko dekho vahī shikārī hai

mere aañsū nahīñ haiñ lā-vāris
ik tabassum se rishte-dārī hai

ek mehman ka hijr tari hai
mezbani ki mashq jari hai

sirf halki si be-qarari hai
aaj ki raat dil pe bhaari hai

koi panchhi koi shikari hai
zinda rahne ki jang jari hai

bas tere gham ki gham-gusari hai
aur kya shaeri hamari hai

aap karte hain shabnami baaten
aur meri pyas reg-zari hai

ab kahan dasht mein junun wale
jis ko dekho wahi shikari hai

mere aansu nahin hain la-waris
ek tabassum se rishte-dari hai


Leave a comment

+