Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dildar Hashmi

  • Ghazal


maine jab se chahat ke jugnuon ko pala hai


maiñ ne jab se chāhat ke jugnuoñ ko paalā hai
zindagī kī vaadī meñ har taraf ujālā hai

har taraf haiñ ḳhushbūeñ har taraf ujālā hai
aaj mere āñgan meñ koī aane vaalā hai

sar-phirī havāoñ se ḳhauf khā nahīñ sakte
jin charāġh-zādoñ ko āñdhiyoñ ne paalā hai

ūñche rutbe vāloñ ko dekhiye to pāmālī
maqbaroñ meñ shāhoñ ke makḌiyoñ kā jaalā hai

aartī utartī hai ahl-e-zar kī phūloñ se
muflisī ke chehre par āñsuoñ kī maalā hai

naaz kyā kare 'dildār' aatī jaatī sāñsoñ par
zindagī jab insāñ kī maut kā nivāla hai

main ne jab se chahat ke jugnuon ko pala hai
zindagi ki wadi mein har taraf ujala hai

har taraf hain KHushbuen har taraf ujala hai
aaj mere aangan mein koi aane wala hai

sar-phiri hawaon se KHauf kha nahin sakte
jin charagh-zadon ko aandhiyon ne pala hai

unche rutbe walon ko dekhiye to pamali
maqbaron mein shahon ke makDiyon ka jala hai

aarti utarti hai ahl-e-zar ki phulon se
muflisi ke chehre par aansuon ki mala hai

naz kya kare 'dildar' aati jati sanson par
zindagi jab insan ki maut ka niwala hai


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 629) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+