vafā kī raah meñ kis kā ye naqsh-e-pā niklā
jabīn-e-shauq tirā aaj hausla niklā
sukūt-e-āḳhir-e-shab aur fasurdagī dil kī
bujhā bujhā sā tirī yaad kā diyā niklā
kamī thī kuchh tirī bazm-e-tarab meñ kyā saaqī
ki jur.a jur.a bhalā kis kā hausla niklā
kabhī baraste the la.al-o-guhar isī ghar meñ
isī makāñ se magar kāsa-e-gadā niklā
kaThin thī rāh-e-vafā duur manzil-e-jānāñ
qadam baḌhā.e to lamhoñ kā fāsla niklā
mirā fasāna to har ahd kā fasāna hai
ki lafz lafz mohabbat kā mājrā niklā
wafa ki rah mein kis ka ye naqsh-e-pa nikla
jabin-e-shauq tera aaj hausla nikla
sukut-e-aKHir-e-shab aur fasurdagi dil ki
bujha bujha sa teri yaad ka diya nikla
kami thi kuchh teri bazm-e-tarab mein kya saqi
ki jura jura bhala kis ka hausla nikla
kabhi baraste the lal-o-guhar isi ghar mein
isi makan se magar kasa-e-gada nikla
kaThin thi rah-e-wafa dur manzil-e-jaanan
qadam baDhae to lamhon ka fasla nikla
mera fasana to har ahd ka fasana hai
ki lafz lafz mohabbat ka majra nikla
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment