ye daur mujh se ḳhirad kā vaqār māñge hai
dil ab bhī shauq ke lail-o-nahār māñge hai
jahāñ meñ kis ko gavārā huī hai fikr kī dhuup
har ik, koī shajar-e-sāya-dār māñge hai
zabān lāla-o-gul meñ basī huī hai magar
zamāna lafz meñ ḳhanjar kī dhaar māñge hai
akele-pan kā ye ehsās ham-nafas kī talāsh
baḌhī huī jo ye talḳhī hai pyaar māñge hai
ye aadmī mire ḳhvāboñ kā saath kyā detā
haqīqatoñ se jo akasr farār māñge hai
ab in meñ apnā lahū ho ki koī shoḳh kiran
varaq jo saada hai naqsh-o-nigār māñge hai
huā kahāñ abhī sadiyoñ ke jabr se āzād
ḳhudā.ī par jo bashar iḳhtiyār māñge hai
bhikāriyoñ ko yahāñ bhiik kaun detā hai
hai sāda-lauh jo duniyā se pyaar māñge hai
vo dīda-var jise pahchāntī nahīñ mahfil
tirī nazar se faqat e'tibār māñge hai
ye daur mujh se KHirad ka waqar mange hai
dil ab bhi shauq ke lail-o-nahaar mange hai
jahan mein kis ko gawara hui hai fikr ki dhup
har ik, koi shajar-e-saya-dar mange hai
zaban lala-o-gul mein basi hui hai magar
zamana lafz mein KHanjar ki dhaar mange hai
akele-pan ka ye ehsas ham-nafas ki talash
baDhi hui jo ye talKHi hai pyar mange hai
ye aadmi mere KHwabon ka sath kya deta
haqiqaton se jo akasr farar mange hai
ab in mein apna lahu ho ki koi shoKH kiran
waraq jo sada hai naqsh-o-nigar mange hai
hua kahan abhi sadiyon ke jabr se aazad
KHudai par jo bashar iKHtiyar mange hai
bhikariyon ko yahan bhik kaun deta hai
hai sada-lauh jo duniya se pyar mange hai
wo dida-war jise pahchanti nahin mahfil
teri nazar se faqat e'tibar mange hai
Source: Book : Aiwan (Pg. 31) Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem Publication : Nirali Duniya (1998) Edition : 1998
Leave a comment