Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


teri ulfat wasul ho jaise


terī ulfat vasūl ho jaise
ne.amatoñ kā nuzūl ho jaise

tū mire āsmāñ kā taara hai
dil tirī rah kī dhuul ho jaise

tere taabe hī chalne lagtā hai
vaqt terā usuul ho jaise

terā dīdār ho rahā hai mujhe
merī mannat qubūl ho jaise

hasratoñ se ulajhtī rahtī huuñ
zindagānī babūl ho jaise

kapkapī sī badan meñ utrī hai
merī hālat malūl ho jaise

is tahayyur se tujh ko suntī huuñ
saarī duniyā fuzūl ho jaise

teri ulfat wasul ho jaise
neamaton ka nuzul ho jaise

tu mere aasman ka tara hai
dil teri rah ki dhul ho jaise

tere tabe hi chalne lagta hai
waqt tera usul ho jaise

tera didar ho raha hai mujhe
meri mannat qubul ho jaise

hasraton se ulajhti rahti hun
zindagani babul ho jaise

kapkapi si badan mein utri hai
meri haalat malul ho jaise

is tahayyur se tujh ko sunti hun
sari duniya fuzul ho jaise


Leave a comment

+