agarche maslahat-āmez hī hai
kaḌe lahje se behtar ḳhāmushī hai
nazar kī pyaas to nazroñ se pūchho
haiñ zer-e-āb phir bhī tishnagī hai
vahī chhūte haiñ aksar āsmāñ ko
jabīñ jin kī zamīnoñ par jhukī hai
varaq āhistagī se kholiyegā
bahut ḳhasta kitāb-e-zindagī hai
marāsim pahle bhī achchhe nahīñ the
magar ab to diloñ meñ be-dilī hai
mirī bechārgī par hañs rahā hai
ye merā dost hai yā ajnabī hai
tirī sargoshiyoñ kā ye asar hai
anā maiñ rach ga.ī ik naġhmagī hai
agarche maslahat-amez hi hai
kaDe lahje se behtar KHamushi hai
nazar ki pyas to nazron se puchho
hain zer-e-ab phir bhi tishnagi hai
wahi chhute hain aksar aasman ko
jabin jin ki zaminon par jhuki hai
waraq aahistagi se kholiyega
bahut KHasta kitab-e-zindagi hai
marasim pahle bhi achchhe nahin the
magar ab to dilon mein be-dili hai
meri bechaargi par hans raha hai
ye mera dost hai ya ajnabi hai
teri sargoshiyon ka ye asar hai
ana main rach gai ek naghmagi hai
Leave a comment