Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheed Akhtar

  • Ghazal


hum jo TuTe to gham-e-dahr ka paimana bane


ham jo TuuTe to ġham-e-dahr kā paimāna bane
ḳhaak meñ mil ke bhī ḳhāk-e-rah-e-mai-ḳhāna bane

kaun is bazm meñ samjhegā ġham-e-dil kī zabāñ
baat chhoTī sī jab afsāna-dar-afsāna bane

sañg-andāzoñ se ūñchā hai bahut apnā maqām
varna mumkin thā nishāna sar-e-dīvāna bane

shahr-e-jānāñ se bhī ham laa.e mohabbat kā ḳhirāj
kyā zarūrī hai ki yaañ vaz-e-gadāyāna bane

vahshat āmāda-e-rusvā.ī hai be-ḳhauf jahāñ
zabt kā hai ye taqāzā ki tamāshā na bane

zindagī ham tire itne to ḳhatā-vār na the
ki jise apnā banā.eñ vahī begāna bane

ik tamannā koī aisā to baḌā jurm na thī
aañkh tā-marg chhalaktā huā paimāna bane

kyā rifāqat hai yahī ai dil-e-āshufta-mizāj
dekh ham ek tire vāste kyā kyā na bane

ajnabī lagte haiñ ham apnī nazar ko ḳhud hī
aap apne se na itnā koī begāna bane

ham pe ik umr se taarī hai ḳhamoshī aisī
ek naqshe pe simaT jaa.e to afsāna bane

ai mire hausla-e-ġham hai yahī vaqt-e-vafā
zahr hī hāsil-e-sad-umr-e-tamannā na bane

zindagī karne ke andāz to bhūlo na 'vahīd'
tum ne kyā sīkhā agar ishq salīqa na bane

hum jo TuTe to gham-e-dahr ka paimana bane
KHak mein mil ke bhi KHak-e-rah-e-mai-KHana bane

kaun is bazm mein samjhega gham-e-dil ki zaban
baat chhoTi si jab afsana-dar-afsana bane

sang-andazon se uncha hai bahut apna maqam
warna mumkin tha nishana sar-e-diwana bane

shahr-e-jaanan se bhi hum lae mohabbat ka KHiraj
kya zaruri hai ki yan waz-e-gadayana bane

wahshat aamada-e-ruswai hai be-KHauf jahan
zabt ka hai ye taqaza ki tamasha na bane

zindagi hum tere itne to KHata-war na the
ki jise apna banaen wahi begana bane

ek tamanna koi aisa to baDa jurm na thi
aankh ta-marg chhalakta hua paimana bane

kya rifaqat hai yahi ai dil-e-ashufta-mizaj
dekh hum ek tere waste kya kya na bane

ajnabi lagte hain hum apni nazar ko KHud hi
aap apne se na itna koi begana bane

hum pe ek umr se tari hai KHamoshi aisi
ek naqshe pe simaT jae to afsana bane

ai mere hausla-e-gham hai yahi waqt-e-wafa
zahr hi hasil-e-sad-umr-e-tamanna na bane

zindagi karne ke andaz to bhulo na 'wahid'
tum ne kya sikha agar ishq saliqa na bane


Source: Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 267)

Leave a comment

+