Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil


na do dushnām ham ko itnī bad-ḳhūī se kyā hāsil
tumheñ denā hī hogā bosa ḳham-rūī se kyā hāsil

dil-āzārī ne terī kar diyā bilkul mujhe be-dil
na kar ab merī dil-jūī ki dil-jūī se kyā hāsil

na jab tak chaak ho dil phāñs kab dil kī nikaltī hai
jahāñ ho kaam ḳhanjar kā vahāñ suuī se kyā hāsil

burā.ī yā bhalā.ī go hai apne vāste lekin
kisī ko kyuuñ kaheñ ham bad ki bad-gūī se kyā hāsil

na kar fikr-e-ḳhizāb ai shaiḳh tū piirī meñ jaane de
javāñ honā nahīñ mumkin siyah-rūī se kyā hāsil

chaḌhā.e āstīñ ḳhanjar-ba-kaf vo yuuñ jo phirtā hai
use kyā jaane hai us arbada-jūī se kyā hāsil

abas pamba na rakh dāġh-e-dil-e-sozāñ pe tū mere
ki añgāre pe hogā chāragar ruuī se kyā hāsil

shamīm-e-zulf ho us kī to ho farhat mire dil ko
sabā hovegā mushk-chīñ kī ḳhushbūī se kyā hāsil

na hove jab talak insāñ ko dil se mel-e-yak-jānib
'zafar' logoñ ke dikhlāne ko yaksūī se kyā hāsil

na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil
tumhein dena hi hoga bosa KHam-rui se kya hasil

dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil
na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil

na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai
jahan ho kaam KHanjar ka wahan sui se kya hasil

burai ya bhalai go hai apne waste lekin
kisi ko kyun kahen hum bad ki bad-gui se kya hasil

na kar fikr-e-KHizab ai shaiKH tu piri mein jaane de
jawan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil

chaDhae aastin KHanjar-ba-kaf wo yun jo phirta hai
use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil

abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere
ki angare pe hoga chaaragar rui se kya hasil

shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mere dil ko
saba howega mushk-chin ki KHushbui se kya hasil

na howe jab talak insan ko dil se mel-e-yak-jaanib
'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil


Leave a comment

+