Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


zamane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai


zamāne kā bharosā kyā abhī kuchh hai abhī kuchh hai
yahī hai rañg duniyā kā abhī kuchh hai abhī kuchh hai

javānī kī hai aamad husn kī har-dam taraqqī hai
tirī sūrat tirā naqsha abhī kuchh hai abhī kuchh hai

na aa.egā qarār us ko na mumkin hai qayām us ko
hamārā dil tirā va.ada abhī kuchh hai abhī kuchh hai

kabhī to justujū us kī kabhī gum aap ho jaanā
mirī vahshat mirā saudā abhī kuchh hai abhī kuchh hai

ġhurūr-e-husn hai sar meñ ḳhayāl-e-dilbarī dil meñ
dimāġh un kā mizāj un kā abhī kuchh hai abhī kuchh hai

zarā maiñ mehrbāñ honā zarā maiñ jaan ke dushman
ajab dil hai hasīnoñ kā abhī kuchh hai abhī kuchh hai

tumheñ kyuuñ is qadar ġham hai 'hafīz' apnī tabāhī kā
yahī duniyā kā hai naqsha abhī kuchh hai abhī kuchh hai

zamane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai
yahi hai rang duniya ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

jawani ki hai aamad husn ki har-dam taraqqi hai
teri surat tera naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai

na aaega qarar us ko na mumkin hai qayam us ko
hamara dil tera wada abhi kuchh hai abhi kuchh hai

kabhi to justuju us ki kabhi gum aap ho jaana
meri wahshat mera sauda abhi kuchh hai abhi kuchh hai

ghurur-e-husn hai sar mein KHayal-e-dilbari dil mein
dimagh un ka mizaj un ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

zara main mehrban hona zara main jaan ke dushman
ajab dil hai hasinon ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

tumhein kyun is qadar gham hai 'hafiz' apni tabahi ka
yahi duniya ka hai naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai


Leave a comment

+