sitam ke ba.ad bhī baaqī karam kī aas to hai
vafā shi.ār nahīñ vo vafā shanās to hai
vo dil kī baat zabāñ se na kuchh kaheñ shāyad
hamāre haal pe chehra magar udaas to hai
ye dil-fareb banaras kī subah kā manzar
avadh kī shām-e-dil-ārā hamāre paas to hai
bharam rahegā tire mai-kade kā bhī saaqī
balā se ḳhālī sahī haath meñ gilās to hai
chale hī jaa.eñ nigāhoñ se duur aap magar
hasīn yādoñ kī daulat hamāre paas to hai
kare bhale hī na rahmat kī mujh par tū bārish
tire karam kī mire dil meñ ek aas to hai
ye sach hai us ne bujhā.ī na tishnagī lekin
hamārī tishna-dahānī kā us ko paas to hai
durust hai ki farishta-sifat nahīñ 'dānish'
ḳhudā gavāh basīrat kī us ko pyaas to hai
sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai
wafa shiar nahin wo wafa shanas to hai
wo dil ki baat zaban se na kuchh kahen shayad
hamare haal pe chehra magar udas to hai
ye dil-fareb banaras ki subah ka manzar
awadh ki sham-e-dil-ara hamare pas to hai
bharam rahega tere mai-kade ka bhi saqi
bala se KHali sahi hath mein gilas to hai
chale hi jaen nigahon se dur aap magar
hasin yaadon ki daulat hamare pas to hai
kare bhale hi na rahmat ki mujh par tu barish
tere karam ki mere dil mein ek aas to hai
ye sach hai us ne bujhai na tishnagi lekin
hamari tishna-dahani ka us ko pas to hai
durust hai ki farishta-sifat nahin 'danish'
KHuda gawah basirat ki us ko pyas to hai
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 404) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment