Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Thakur

  • Ghazal


gham hamara gulab ho jae


ġham hamārā gulāb ho jaa.e
zindagī lā-javāb ho jaa.e

yaad ne harf harf gherā hai
gar likhūñ to kitāb ho jaa.e

dushmanoñ kī taraf bhī jā.eñge
dostoñ se hisāb ho jaa.e

imtihāñ le na be-qarārī kā
mere ḳhat kā javāb ho jaa.e

aap nāhaq ḳhudā se Darte haiñ
shaiḳh sāhab sharāb ho jaa.e

tere kūche meñ aa ke lagtā hai
jaise muflis navāb ho jaa.e

ḳhud-parastī anā hī kaafī hai
ruḳh zarā be-naqāb ho jaa.e

maiñ ne dekhā ki tū hai pahlū meñ
ab mujassam ye ḳhvāb ho jaa.e

gham hamara gulab ho jae
zindagi la-jawab ho jae

yaad ne harf harf ghera hai
gar likhun to kitab ho jae

dushmanon ki taraf bhi jaenge
doston se hisab ho jae

imtihan le na be-qarari ka
mere KHat ka jawab ho jae

aap nahaq KHuda se Darte hain
shaiKH sahab sharab ho jae

tere kuche mein aa ke lagta hai
jaise muflis nawab ho jae

KHud-parasti ana hi kafi hai
ruKH zara be-naqab ho jae

main ne dekha ki tu hai pahlu mein
ab mujassam ye KHwab ho jae


Leave a comment

+