Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


dil Dubne laga hai tawanai chahiye


dil Dūbne lagā hai tavānā.ī chāhiye
kuchh vaar mujh ko zahr-e-shanāsā.ī chāhiye

kal tak the mutma.in ki musāfir haiñ raat ke
ab raushnī milī hai to bīnā.ī chāhe

taufīq hai to vus.at-e-sahrā bhī dekh leñ
ye kyā ki apne ghar kī hī añgnā.ī chāhiye

armān thā tumhīñ ko ki sab saath meñ raheñ
ab tum hī kah rahe ho ki tanhā.ī chāhiye

halkī sī is jamāhī se maiñ mutma.in nahīñ
band-e-qabā kā ḳhauf kyā añgḌā.ī chāhiye

jo log aa.ine se bahut duur duur the
un ko bhī aaj bazm-e-ḳhud-ārā.ī chāhiye

shā.istagān-e-shahr meñ mat kījiye shumār
mardūd-e-ḳhalq huuñ mujhe rusvā.ī chāhiye

dil Dubne laga hai tawanai chahiye
kuchh war mujh ko zahr-e-shanasai chahiye

kal tak the mutmain ki musafir hain raat ke
ab raushni mili hai to binai chahe

taufiq hai to wusat-e-sahra bhi dekh len
ye kya ki apne ghar ki hi angnai chahiye

arman tha tumhin ko ki sab sath mein rahen
ab tum hi kah rahe ho ki tanhai chahiye

halki si is jamahi se main mutmain nahin
band-e-qaba ka KHauf kya angDai chahiye

jo log aaine se bahut dur dur the
un ko bhi aaj bazm-e-KHud-arai chahiye

shaistagan-e-shahr mein mat kijiye shumar
mardud-e-KHalq hun mujhe ruswai chahiye


Source: Deewan-e-Aagha

Leave a comment

+