sitāre sab mire mahtāb mere
abhī mat TūTnā ai ḳhvāb mere
abhī uḌnā hai mujh ko āsmāñ tak
hue jaate haiñ par betāb mere
maiñ thak kar gir gayā TuuTā nahīñ huuñ
bahut mazbūt haiñ a.asāb mere
tire aane pe bhī bād-e-bahārī
gulistāñ kyuuñ nahīñ shādāb mere
bahut hī shaad rahtā thā maiñ jin meñ
vo lamhe ho ga.e nāyāb mere
abhī āñkhoñ meñ tuġhyānī nahīñ hai
abhī aa.e nahīñ sailāb mere
samundar meñ huā tūfān barpā
safīne aa.e zer-e-āb mere
tū ab ke bhī nahīñ Duubā 'shanāvar'
bahut hairān haiñ ahbāb mere
sitare sab mere mahtab mere
abhi mat TuTna ai KHwab mere
abhi uDna hai mujh ko aasman tak
hue jate hain par betab mere
main thak kar gir gaya TuTa nahin hun
bahut mazbut hain aasab mere
tere aane pe bhi baad-e-bahaari
gulistan kyun nahin shadab mere
bahut hi shad rahta tha main jin mein
wo lamhe ho gae nayab mere
abhi aankhon mein tughyani nahin hai
abhi aae nahin sailab mere
samundar mein hua tufan barpa
safine aae zer-e-ab mere
tu ab ke bhi nahin Duba 'shanawar'
bahut hairan hain ahbab mere
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment