ro-dho ke sab kuchh achchhā ho jaatā hai
man jaise rūThā bachcha ho jaatā hai
kitnā gahrā lagtā hai ġham kā sāġhar
ashk bahā luuñ to uthlā ho jaatā hai
logoñ ko bas yaad rahegā tāj-mahal
chhappar vaalā ghar qissa ho jaatā hai
miT jaatī hai miTTī kī soñdhī ḳhushbū
kahne ko to ghar pakkā ho jaatā hai
niiñd ke ḳhvāb khulī āñkhoñ se jab dekhūñ
dil kā ik konā ġhussa ho jaatā hai
ro-dho ke sab kuchh achchha ho jata hai
man jaise ruTha bachcha ho jata hai
kitna gahra lagta hai gham ka saghar
ashk baha lun to uthla ho jata hai
logon ko bas yaad rahega taj-mahal
chhappar wala ghar qissa ho jata hai
miT jati hai miTTi ki sondhi KHushbu
kahne ko to ghar pakka ho jata hai
nind ke KHwab khuli aankhon se jab dekhun
dil ka ek kona ghussa ho jata hai
Source: Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 173) Author : Owais Ahmad Dauran Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974) Edition : 1974
Leave a comment