aa ke vo mujh ḳhasta-jāñ par yuuñ karam farmā gayā
koī dam baiThā dil-e-nāshād ko bahlā gayā
kaun lā saktā hai taab us ke ruḳh-e-pur-nūr kī
jis taraf se ho ke guzrā barq sī lahrā gayā
aañkh bhar kar dekh lenā kuchh ḳhatā aisī na thī
kyā ḳhabar kyuuñ un ko mujh par itnā ġhussa aa gayā
phir ga.ī ik aur hī duniyā nazar ke sāmne
baiThe baiThe kyā batā.ūñ kyā mujhe yaad aa gayā
yak-ba-yak maġhmūm ke chehre pe raunaq aa ga.ī
kaun jaane āñkhoñ āñkhoñ meñ vo kyā samjhā gayā
yuuñ to ham ne bhī use dekhā hai lekin ai 'hamīd'
jaane tujh ko kaun sā andāz us kā bhā gayā
aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya
koi dam baiTha dil-e-nashad ko bahla gaya
kaun la sakta hai tab us ke ruKH-e-pur-nur ki
jis taraf se ho ke guzra barq si lahra gaya
aankh bhar kar dekh lena kuchh KHata aisi na thi
kya KHabar kyun un ko mujh par itna ghussa aa gaya
phir gai ek aur hi duniya nazar ke samne
baiThe baiThe kya bataun kya mujhe yaad aa gaya
yak-ba-yak maghmum ke chehre pe raunaq aa gai
kaun jaane aankhon aankhon mein wo kya samjha gaya
yun to hum ne bhi use dekha hai lekin ai 'hamid'
jaane tujh ko kaun sa andaz us ka bha gaya
Source: Intikhab Apna Apna
Leave a comment