Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Merathi

  • Ghazal


lahu se apne zamin lala-zar dekhte the


lahū se apne zamīñ lāla-zār dekhte the
bahār dekhne vaale bahār dekhte the

surūr ek jhalak kā tamām umr rahā
havas-parast the jo baar baar dekhte the

kabhī kabhī hameñ duniyā hasīn lagtī thī
kabhī kabhī tirī āñkhoñ meñ pyaar dekhte the

chalā vo daur-e-sitam ghar meñ chhup ke baiTh ga.e
jo har salīb ko mardāna-vār dekhte the

lahu se apne zamin lala-zar dekhte the
bahaar dekhne wale bahaar dekhte the

surur ek jhalak ka tamam umr raha
hawas-parast the jo bar bar dekhte the

kabhi kabhi hamein duniya hasin lagti thi
kabhi kabhi teri aankhon mein pyar dekhte the

chala wo daur-e-sitam ghar mein chhup ke baiTh gae
jo har salib ko mardana-war dekhte the


Leave a comment

+