Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Mughal

  • Ghazal


main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra


maiñ bhī be-ant huuñ aur tū bhī hai gahrā sahrā
yā Thahar mujh meñ yā ḳhud meñ mujhe Thahrā sahrā

ruuh meñ lahr banāte haiñ tirī lahroñ se
aur kuchh der mire sāmne lahrā sahrā

aañkh jhapkī thī bas ik lamhe ko aur is ke ba.ad
maiñ ne DhūñDā hai tujhe zindagī sahrā sahrā

apnī hastī ko bikharne se bachā lenā tum
mujh pe mat jaanā mirī jaan maiñ Thahrā sahrā

mere lahje kā samundar hī nahīñ sūkhā hai
luT gayā terī hañsī kā bhī sunahrā sahrā

main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra
ya Thahar mujh mein ya KHud mein mujhe Thahra sahra

ruh mein lahr banate hain teri lahron se
aur kuchh der mere samne lahra sahra

aankh jhapki thi bas ek lamhe ko aur is ke baad
main ne DhunDa hai tujhe zindagi sahra sahra

apni hasti ko bikharne se bacha lena tum
mujh pe mat jaana meri jaan main Thahra sahra

mere lahje ka samundar hi nahin sukha hai
luT gaya teri hansi ka bhi sunahra sahra


Leave a comment

+