Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


baDhao hath baDhao faqir mauj mein hai


baḌhāo haath baḌhāo faqīr mauj meñ hai
tavañgaro idhar aao faqīr mauj meñ hai

jise bhī chāhiye ḳhairāt-e-nūr le jaa.e
bhaḌak rahā hai alaav faqīr mauj meñ hai

ḳharīd le na tumhārī ye kā.enāt tamām
use batānā na bhaav faqīr mauj meñ hai

girā huā to nahīñ hai zamīñ ko thāme hai
zamīn se na uThāo faqīr mauj meñ hai

bas ik tarīqa hai us ke qarīb jaane kā
dhamāl Dālte jaao faqīr mauj meñ hai

abhī tum us kī nigāhoñ se do-jahāñ dekho
abhī subū na uThāo faqīr mauj meñ hai

ḳhamosh baiThā huā hai ḳhamosh rahne do
aur apnī ḳhair manāo faqīr mauj meñ hai

baDhao hath baDhao faqir mauj mein hai
tawangaro idhar aao faqir mauj mein hai

jise bhi chahiye KHairaat-e-nur le jae
bhaDak raha hai alaw faqir mauj mein hai

KHarid le na tumhaari ye kaenat tamam
use batana na bhaw faqir mauj mein hai

gira hua to nahin hai zamin ko thame hai
zamin se na uThao faqir mauj mein hai

bas ek tariqa hai us ke qarib jaane ka
dhamal Dalte jao faqir mauj mein hai

abhi tum us ki nigahon se do-jahan dekho
abhi subu na uThao faqir mauj mein hai

KHamosh baiTha hua hai KHamosh rahne do
aur apni KHair manao faqir mauj mein hai


6 April To Sep. 1998"

Leave a comment

+