Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Noori Firozabadi

  • Ghazal


mahakne ka qarina aa gaya hai


mahakne kā qarīna aa gayā hai
ġhazal ko zaḳhm siinā aa gayā hai

charāġhoñ kī laveñ ab sust kar do
sitāroñ ko pasīnā aa gayā hai

ai merī zindagī tujh se bichhaḌ kar
mujhe qistoñ meñ jiinā aa gayā hai

chalo tūfāñ se bhī ab baat kar leñ
kināre par safīna aa gayā hai

utar jā.egā sūraj terā nashsha
december kā mahīna aa gayā hai

mahakne ka qarina aa gaya hai
ghazal ko zaKHm sina aa gaya hai

charaghon ki lawen ab sust kar do
sitaron ko pasina aa gaya hai

ai meri zindagi tujh se bichhaD kar
mujhe qiston mein jina aa gaya hai

chalo tufan se bhi ab baat kar len
kinare par safina aa gaya hai

utar jaega suraj tera nashsha
december ka mahina aa gaya hai


Leave a comment

+