Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bahadur Shah Zafar

  • Ghazal


itna na apne jame se bahar nikal ke chal


itnā na apne jaame se bāhar nikal ke chal
duniyā hai chal-chalāv kā rasta sambhal ke chal

kam-zarf pur-ġhurūr zarā apnā zarf dekh
mānind josh-e-ġham na ziyāda ubal ke chal

fursat hai ik sadā kī yahāñ soz-e-dil ke saath
us par sapand-vār na itnā uchhal ke chal

ye ġhol-vash haiñ in ko samajh tū na rahnumā
saa.e se bach ke ahl-e-fareb-o-daġhal ke chal

auroñ ke bal pe bal na kar itnā na chal nikal
bal hai to bal ke bal pe tū kuchh apne bal ke chal

insāñ ko kal kā putlā banāyā hai us ne aap
aur aap hī vo kahtā hai putle ko kal ke chal

phir āñkheñ bhī to diiñ haiñ ki rakh dekh kar qadam
kahtā hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal

hai turfa amn-gāh nihāñ-ḳhāna-e-adam
āñkhoñ ke rū-ba-rū se tū logoñ ke Tal ke chal

kyā chal sakegā ham se ki pahchānte haiñ ham
tū laakh apnī chaal ko zālim badal ke chal

hai sham.a sar ke bal jo mohabbat meñ garm ho
parvāna apne dil se ye kahtā hai jal ke chal

bulbul ke hosh nik.hat-e-gul kī tarah uḌā
gulshan meñ mere saath zarā itr mal ke chal

gar qasd sū-e-dil hai tirā ai nigāh-e-yār
do-chār tiir paik se aage ajal ke chal

jo imtihān-e-tab.a kare apnā ai 'zafar'
to kah do us ko taur pe tū is ġhazal ke chal

itna na apne jame se bahar nikal ke chal
duniya hai chal-chalaw ka rasta sambhal ke chal

kam-zarf pur-ghurur zara apna zarf dekh
manind josh-e-gham na ziyaada ubal ke chal

fursat hai ek sada ki yahan soz-e-dil ke sath
us par sapand-war na itna uchhal ke chal

ye ghol-wash hain in ko samajh tu na rahnuma
sae se bach ke ahl-e-fareb-o-daghal ke chal

auron ke bal pe bal na kar itna na chal nikal
bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal

insan ko kal ka putla banaya hai us ne aap
aur aap hi wo kahta hai putle ko kal ke chal

phir aankhen bhi to din hain ki rakh dekh kar qadam
kahta hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal

hai turfa amn-gah nihan-KHana-e-adam
aankhon ke ru-ba-ru se tu logon ke Tal ke chal

kya chal sakega hum se ki pahchante hain hum
tu lakh apni chaal ko zalim badal ke chal

hai shama sar ke bal jo mohabbat mein garm ho
parwana apne dil se ye kahta hai jal ke chal

bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uDa
gulshan mein mere sath zara itr mal ke chal

gar qasd su-e-dil hai tera ai nigah-e-yar
do-chaar tir paik se aage ajal ke chal

jo imtihan-e-taba kare apna ai 'zafar'
to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal


Source: Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 231) Author : Shabnam Parveen Publication : Asghar Publishers (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+