Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat abbas

  • Ghazal


nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya


nazar jo aayā us pe e.atibār kar liyā gayā
haqīqatoñ ke dark se farār kar liyā gayā

quyūd-e-āgahī se jab sahm ga.iiñ jibillateñ
nazar ke gird rañg kā hisār kar liyā gayā

shuhūd kī jo sat.h pe anāniyat kā shor uThā
to dāman-e-ḳhudī ko tār-tār kar liyā gayā

gumāñ huā ki rāsta abhī mirī nazar meñ hai
sharīr shutr-nafs be-mahār kar liyā gayā

jo log dil kī uljhanoñ meñ ġharq the ḳhamosh the
unheñ bhī ahl-e-jazb meñ shumār kar liyā gayā

rah-e-talab kī saḳhtiyoñ ke shikve lab-ba-lab hue
surūr-e-jidd-o-jahd ko ḳhumār kar liyā gayā

chale kabhī kabhī udhar se azmatoñ ke qāfile
vafā kā azm jin se pā.edār kar liyā gayā

vo ishq thā ki bandagī zarūrateñ kī āgahī
bas ek rabt thā jo ustuvār kar liyā gayā

varaq varaq rumūz-e-āgahī ke the likhe hue
kutub ko bār-e-pusht-bar-himār kar liyā gayā

usuul aur furūa sab 'shahāb' ek taraf hue
ajab nizām-e-zīst iḳhtiyār kar liyā gayā

nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya
haqiqaton ke dark se farar kar liya gaya

quyud-e-agahi se jab sahm gain jibillaten
nazar ke gird rang ka hisar kar liya gaya

shuhud ki jo sath pe ananiyat ka shor uTha
to daman-e-KHudi ko tar-tar kar liya gaya

guman hua ki rasta abhi meri nazar mein hai
sharir shutr-nafs be-mahaar kar liya gaya

jo log dil ki uljhanon mein gharq the KHamosh the
unhen bhi ahl-e-jazb mein shumar kar liya gaya

rah-e-talab ki saKHtiyon ke shikwe lab-ba-lab hue
surur-e-jidd-o-jahd ko KHumar kar liya gaya

chale kabhi kabhi udhar se azmaton ke qafile
wafa ka azm jin se paedar kar liya gaya

wo ishq tha ki bandagi zaruraten ki aagahi
bas ek rabt tha jo ustuwar kar liya gaya

waraq waraq rumuz-e-agahi ke the likhe hue
kutub ko bar-e-pusht-bar-himar kar liya gaya

usul aur furua sab 'shahab' ek taraf hue
ajab nizam-e-zist iKHtiyar kar liya gaya


Source: Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 73)

Leave a comment

+