Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Ali Khan Bekhud

  • Ghazal


teri wafa ka hua tha kabhi guman mujhko


tirī vafā kā huā thā kabhī gumāñ mujh ko
vahī ḳhayāl huā aish-e-jāvedāñ mujh ko

shikāyat-e-sitam-e-dushmanāñ maiñ kyā kartā
ki bhūltā hī nahīñ lutf-e-dostāñ mujh ko

tire jamāl kā zikr-e-jamīl maiñ kartā
na mil sakā koī aalam meñ rāz-dāñ mujh ko

na sañg-e-mīl na naqsh-e-qadam na rahbar hai
tirī talāsh ne gum kar diyā kahāñ mujh ko

tū ḳhud mile na mile justujū kī daad to de
nishāñ mirā bhī miTā de na de nishāñ mujh ko

zabān-e-sham.a se zāhir ho soz-e-parvāna
kuchh is tarah se jalā sozish-e-nihāñ mujh ko

talāsh-e-yār meñ khoyā rahā jo maiñ 'beḳhud'
huā na bār-e-ġham-e-do-jahāñ girāñ mujh ko

teri wafa ka hua tha kabhi guman mujh ko
wahi KHayal hua aish-e-jawedan mujh ko

shikayat-e-sitam-e-dushmanan main kya karta
ki bhulta hi nahin lutf-e-dostan mujh ko

tere jamal ka zikr-e-jamil main karta
na mil saka koi aalam mein raaz-dan mujh ko

na sang-e-mil na naqsh-e-qadam na rahbar hai
teri talash ne gum kar diya kahan mujh ko

tu KHud mile na mile justuju ki dad to de
nishan mera bhi miTa de na de nishan mujh ko

zaban-e-shama se zahir ho soz-e-parwana
kuchh is tarah se jala sozish-e-nihan mujh ko

talash-e-yar mein khoya raha jo main 'beKHud'
hua na bar-e-gham-e-do-jahan giran mujh ko


Source: Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 23) Author : Mahir Abdul Hayee Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008) Edition : 2008

Leave a comment

+